Aaj is qalam se Jaane kya Nikalega

September 11th, 2009 by राहगीर

Aaj is qalam se Jaane kya Nikalega
koyi haseen afsaana ya sirf siyaahi Nikalega

Aaj is qalam se jaane kya nikalega
Is kaatib ki tasawwur, ya uski gustakhi nikalega

Aaj is qalam se jaane kya nikalega
Mustaqbil ka paehchaan ya Aaj ki Aarzu nikalega

Khuda Shukr, Kal ko to humne bahut door chod aaya
Varna yeh Khambakt Qalam to Kal ki Daastan Likhega

-Rahgeer-

Bookmark and Share

Leave a Reply